Friday 30 May 2014

PAL..........(my writings)

Aaj dhalte suraj ki madham roshni mai ,
guzri zindagi ke kuch panne palat kar dekhe,
dhundli pad chuki wo yaadein jinpe waqt ki dhul jam chuki hai
aaj badi apni si lagti hai
wo bedharak dosto ki sath galiyo mai ghumna,
wo ghar ke paas wali aunty ko bewajah satana,
har baat par ek dusre ki taang khicna ,
aur jab aankhe nam ho toh bade pyar se gale lagana ,
meri maa ki hatho ki bani wo naram rotiya,
wo mere aagan ki mitti ki khusbu,
yaad hai mujhjo school ko aakhiri din
jab har ek ki aankhe nam thi
jab har ek ush choti si duniya se bahar jane se darta tha,

aaj wo har ek pal dobara jine ko ko g chahta hai


''ish uljhi zindagi ko phir se suljhane ko g chahta hai''
Kuch toh hai, 
ye jo teri aankhe dard ke sagar mai dubi rehti hai, 
ye jo tera dil foot-2 kar rota hai, 
ye jo tera sarir besud ghar ke kisi kone mai pada rehta hai, 
na jane kish anjaane dard ko seene se laga baithi hai tu, 
na jane kiske intejar mai apni muskaan gawa baithi hai tu, 
kyu tu aaj bhi uske aane ke khwaab sanjoe baithi hai, 
kyu tu aaj bhi ush suni chowkhat pe nazre tikae baithi hai, 
mai jaanta hu ke har roj tera sabr tera imtehaan le rha hai, 
mai jaanta hu ke har roj tu apni zindagi se ek aur din maang leti hai, 
kya hua jo tu reh gae akeli in doraho par, 
par ab bas kar, 
uttar phek apni ish khamosi ki chadar ko , 
ab bas uttar phek apni ish khamosi ki chadar ko.......