Tuesday, 18 November 2014

poem from movie Udaan

Chhoti-chhoti chitrayi yaadein...
bichhi hui hain lamho ki lawn par,
Nange paer unpe chalte-chalte itni door aa gaye hain,
ki ab bhool gaye hai joote kahaan utare the.

Edi komal thi jab aaye the,
thodi si nazuk hai abhi bhi.. aur nazuk hi rahegi
In khatti-meethi yaadon ki shararat jab tak inhe gudgudati rahegi..
Sach.. Bhool gaye hain joote kahan utaare the
par lagta hai ab unki zaroorat nahi...

Wednesday, 13 August 2014

Meri kamli

Ab dhire dhire is dil mai basne laga hai koi
Mere khwaabon ko apna kehne laga hai koi
Ek anjaan sa chehra tha kuch roz pehle
Ab jaise apno se bhi jada apna lagne laga hai koi
Ek pal Sochta hun usse apna bana lu
Dusre pal usse kho dene ka khayal is dil ko rok deta hai
Ab toh har raat  uske khayalon mai guzar jati hai
Ab toh har din uske pyaar bhare sawalon mai guzar jata hai
Thori jhalli hai
Thori pagli hai
Thori maasum hai
Thori chanchal hai
Sab jaanti hai phir bhi anjaan bani rehti hai
Bas kuch aisi hai meri kamli.

Friday, 11 July 2014

Meri Pehchaan

Bebasi ki chadar se lipti ek aurat hu mai,
Ghane andhere mai roshni ki kiran dhundti ek beti hun mai,
Har roz til-til ke Marti ek Patni hun mai,
Apni laachari ki daastaan sunati ek maa hun mai,
Kehne ko kayi roop hai mere,
Par har roop mai kahaani ek si hai meri,
Dard , bhay aur maausi Ab jaise kismat ban chuki ho meri,
Lekin phir bhi yeh dil ek aas lagae baitha hai,
Ish kaali raat ke baad ki Ush Subah ke khwaab sajae baitha hai,
Mai shayad phir se jee uth uthungi,
In baarish ki Boondon ko phir se mehsoos kar sakungi,
Par ab tak ye sab ek sapna sa lagta hai,
Par phir bhi yeh dil kehta hai
Ke wo waqt guzar gaya
Toh yeh bhi guzar sakta hai............................

Monday, 30 June 2014

                                                                     

MAA

Rote Rote  Maa Aaj Teri Yaad Aayi ,
Jo Tu Yaha Hoti Toh Apne Mamta ke Aachal Se Mere Sare Dukho Ko Dur Kar Deti,
Jo Tu Yaha Hoti Toh Mere In Dagmagate Kadmo Ko Sambhal leti,
Bahot Dil Kar Raha Hai Aaj Teri God Mai Sar Rakh Kar Sone Ko,
Phir Se us Bachpan Ko Jine Ko
Jo Teri Mamta Ki Chav Mai Bitaa Tha,
Aaj Dur Ho Gayi Hai Maa Tujhse Teri Parchai,

Rote Rote  Maa Aaj Teri Yaad Aayi,

Kyu Aaj Dil Apne Kiye Faisle Par Itna Pachtata Hai,
Shayad isliye tujhse door hone ka gham mujhe har pal satata hai,
Jo Agar Rooth Jaun Toh Na Utne Pyar Se Manata Hai,
Shayad Isliye Aaj Meri Aankhen Hai Bhar Aayi,

Rote Rote  Maa Aaj Teri Yaad Aayi.......................................

Wednesday, 11 June 2014

Kya chahta hai ye dil, 

kabhi dara dara toi kabhi chup chap sa rehta hai ye dil, 
kabhi maa ke pyar ko dekh bhar aata hai ye dil, 
toh kabhi pita ki phatkar se seham jata hai ye dil, 
kabhi kisi anjaan chehre ko dekh dharakta hai ye dil, 

toh kabhi uske dur jane pe tarapta hai ye dil, 


kya chahta hai dil......

Friday, 30 May 2014

PAL..........(my writings)

Aaj dhalte suraj ki madham roshni mai ,
guzri zindagi ke kuch panne palat kar dekhe,
dhundli pad chuki wo yaadein jinpe waqt ki dhul jam chuki hai
aaj badi apni si lagti hai
wo bedharak dosto ki sath galiyo mai ghumna,
wo ghar ke paas wali aunty ko bewajah satana,
har baat par ek dusre ki taang khicna ,
aur jab aankhe nam ho toh bade pyar se gale lagana ,
meri maa ki hatho ki bani wo naram rotiya,
wo mere aagan ki mitti ki khusbu,
yaad hai mujhjo school ko aakhiri din
jab har ek ki aankhe nam thi
jab har ek ush choti si duniya se bahar jane se darta tha,

aaj wo har ek pal dobara jine ko ko g chahta hai


''ish uljhi zindagi ko phir se suljhane ko g chahta hai''
Kuch toh hai, 
ye jo teri aankhe dard ke sagar mai dubi rehti hai, 
ye jo tera dil foot-2 kar rota hai, 
ye jo tera sarir besud ghar ke kisi kone mai pada rehta hai, 
na jane kish anjaane dard ko seene se laga baithi hai tu, 
na jane kiske intejar mai apni muskaan gawa baithi hai tu, 
kyu tu aaj bhi uske aane ke khwaab sanjoe baithi hai, 
kyu tu aaj bhi ush suni chowkhat pe nazre tikae baithi hai, 
mai jaanta hu ke har roj tera sabr tera imtehaan le rha hai, 
mai jaanta hu ke har roj tu apni zindagi se ek aur din maang leti hai, 
kya hua jo tu reh gae akeli in doraho par, 
par ab bas kar, 
uttar phek apni ish khamosi ki chadar ko , 
ab bas uttar phek apni ish khamosi ki chadar ko....... 

Monday, 14 April 2014

Kuch ankahi baatein

Ek ehsaas jaise koi bichar raha ho mujhse,
aankhe jaise uphanti nadi ki tarah beh rahi ho,
dil jaise keh raha ho rok lu usse,
par maut jaise zid pe adi ho usse le jane ko,
ab bejaan sa lag raha hai ye pal,
khamosh padi zuban jaise anjaan ho ish lamhe
se,
ye nazre jaise talash rahi ho kisi ko,
wo jo maut ke aaghosh mai sama chuka hai,
wo jo ab taumar laut ke na aaega... Ek ehsaas
jaise .........